Janna aur Maanna: Kya Vakayi Humne Inko Jana – Gurubhai

Bodh Shastra
Prakashit: 23 March 2026

Ek Dharti • Ek Chetna • Ek Manatva

Jai Jai SiyaRam Ji! | Krishnum Vande Jagatgurum!

Janna aur Maanna: Kya Vakayi Humne Inko Jana

“99% Manushyo Ki Wah Bhool”

Sansaar mein janm lena aur vida hona—is beech jo ghatit hota hai wo ‘Jeevan’ hai. Kintu vidambna hai ki 99% log ant tak ye samajh hi nahi paate ki unhone satya ko ‘Jaana’ hai ya kewal ‘Maana’ hai. Ye bodh ka wo ‘switch’ hai jise shuruat mein hi gira dena chahiye tha.

“Maanna aapko ek Anuyayi (Follower) bana sakta hai,
kintu Jaanna aapko ek Mukt Aatma (Liberated Soul) banata hai.”

Maanna (Believing): Ye sanskar aur udhaar gyan ka sangrah hai. Ye surakshit hai, bheed ka hissa hai. Jab hum maante hain, toh hum apni buddhi ko viraam de dete hain.

Jaanna (Knowing): Ye anubhav ki bhatti mein tapkar nikalta hai. Ye sahas ki maang karta hai aur swayam ki kasauti par satya ko kasta hai.

Gurubhai Ka Udaharan:

Pani se pyaas bujhti hai—ye aap Maante hain ya Jaante hain?
Aag se haath jalta hai—ye aap Maante hain ya Jaante hain?
Zahir hai, aap ise ‘Jaante’ hain kyunki aapne iska ‘Anubhav’ kiya hai. Jo anubhav par khara hai, wahi ‘Jaanna’ hai.

Adhyatma ki yatra mein ‘Maanna’ kewal mann ki ek santwana hai. Jo kewal maanta hai, wo mrityu ke dwar par kaanpta hai kyunki uske paas apna koi ‘Praman’ nahi hota. Lekin ‘Jaanne’ wala sadhak chetna ki us unchi avastha ka anubhav yahi rehte hue kar leta hai.

“Lok se parlok tak ki yatra tabhi sugam hai,
jab kandhe par maanne ki gathri ka bojh na ho,
balki haath mein jaanne ka Deep ho.”

To be continued …

Adhyay 4 ka Vishay:
“Navratri Ka Sanatani Vaigyanik Rahasya”

Prakashit: 25 March 2026

Vishesh Sochna: GURUBHAI KI LAB • 23 MARCH 2026. Hum vichaaron ki swatantrata ka samman karte hain. Shuddh Chintan • Shuddh Chetna.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *