Navratri Ka Sanatani Vaigyanik Rahasya

Vigyan aur Adhyatma
Prakashit: 25 March 2026

Ek Dharti • Ek Chetna • Ek Manatva

Shakti Namostute! | Navratri Vishesh

Jai Jai SiyaRam! | Krishnum Vande Jagatgurum

Navratri Ka Sanatani Vaigyanik Rahasya

Humare Prachin Trikaldrishta Rishi-Muniyo-Aur-Mahatmao ne manav kalyan ke liye Vedon, Shastron aur Puranon ka saar tyoharon mein piro diya tha. Navratri ka chayan Chaitra aur Ashwin maas mein hi kyun hua? Kyunki ye dono ‘Sandhi Maas’ hain—jahan ritu badalti hai.

Marm ki Baat: Jab mausam karvat leta hai, toh praniyo aur vanaspatiyo mein Vaat, Pitt aur Kaff ka santulan bigadne lagta hai. Is pratikool prabhav se bachne ke liye 9 din ka vrat aur pujan ka vidhan banaya gaya.

Maa Durga ke mukhya nau roop manushya ki utpatti ke nau tatvon ka prateek hain. Manushya Panch-Mahabhoot aur Chaar Antah-Karan se milkar bana hai. Mausam parivartan ke samay inn tatvon par bura asar na pade, isliye inhen Shakti ka swaroop maankar sadhna ki jati hai taaki shareer aur mann mein santulan bana rahe.

Shakti ke bina Shiv bhi Shav hain, toh manushya ki kya bisat?

Shastro mein Ramayan aur Mahabharat ke spast praman hain ki jab bhi devtaon ya manushyon ko urja ki awashyakta hui, unhone Maa Shakti ki aradhana ki. Aaj digital yug mein bhi, jab humari mansik urja bhatak rahi hai, Navratri ka ye vaigyanik sanyam humein punar-sthapit karne ka ek dwar hai.

To be continued …

Agla Bhag: “Ram Navami: Ek Shabad, Purn Ithaas”

Prakashit: 27 March 2026 (Ram Navami)

Vishesh Sochna: GURUBHAI KI LAB • 25 MARCH 2026. Hum vichaaron ki swatantrata ka samman karte hain. Humara uddeshya keval chetna ko jagrut karna aur Sanatani Vigyan se parichit karana hai.

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *